sab muKHalif jab kinare ho gae
hum mein aur us mein ishaare ho gae
aae aur baiThe na kuchh shikwa nahin
ye ghanimat hai ki bare ho gae
jab chaDh aai ru-ba-ru fauj-e-junun
hum bhi sanmukh ho utare ho gae
hijr ne us ko jalaya is qadar
dagh sine par angare ho gae
jaante the apne hum hosh-o-hawas
yak nigah mein sab tumhaare ho gae
chashm to teghe the aage hi miyan
surma dene se do dhaare ho gae
kan ke moti teri zulfon mein raat
KHalq ki nazron mein tare ho gae
jab hue 'hatim' hum us se aashna
dost bhi dushman hamare ho gae
Ghazal
Sab muKhaalif jab kinare ho gae
Shaikh Zahuruddin Hatim