sab mujhe aarzi sa lagta hai
tu magar zindagi sa lagta hai
aaina hai magar na jaane kyun
aadmi aadmi sa lagta hai
KHud ko kitna bhula diya main ne
tu bhi ab ajnabi sa lagta hai
ishq mein zindagi basar karna
aql ko KHud-kushi sa lagta hai
jo tere hijr mein mila 'momin'
bas wahi gham KHushi sa lagta hai
Ghazal
Sab mujhe aarzi sa lagta hai
abdurrahman momin

