اردو हिंदी
Sab lazzaten visal ki bekar karte ho | Shaahi Shayari
sab lazzaten visal ki bekar karte ho

Ghazal

Sab lazzaten visal ki bekar karte ho

Farhat Ehsas

;

sab lazzaten visal ki bekar karte ho
kyun bar bar nind se bedar karte ho

achchha to tum ko mashq-e-masihai karni hai
itna isi liye hamein bimar karte ho

saya saron pe dhup mein karne ki baat thi
ye nek kaam kyun pas-e-diwar karte ho

kapDe safed dekh ke bola ye mera jism
kis jashn ke liye mujhe tayyar karte ho

wada to ye ki ghar mein basaenge hum tumhein
phir hum ko qaidi-e-dar-o-diwar karte ho

hai ishq ke siwa bhi koi baat warna tum
kyun bar bar ishq ka izhaar karte ho

aisa hai kaun dil ka KHaridar jis pe tum
chhoTi si is dukan ko bazar karte ho

hum to tumhaare qabza-e-qudrat mein hain to phir
itna qarib kyun meri sarkar karte ho

dildar dil se lag ke khaDe hon to kis liye
duniya ki oT se mera didar karte ho

'ehsas' hi ne tum ko banaya hai baadshah
'ehsas' hi ko randa-e-darbar karte ho