sab kuchh sar-e-bazar jahan chhoD gaya hai
ye kaun khuli apni dukan chhoD gaya hai
jate hi kisi ke na wo naghma na ujala
KHamosh charaghon ka dhuan chhoD gaya hai
wahshi to gaya le ke wo zanjir-o-gareban
ek nauha-kunan KHali makan chhoD gaya hai
sau qafile is rah se aae bhi gae bhi
ab tak main wahin hun wo jahan chhoD gaya hai
bheja hai ye kis ne waraq-e-sada mere nam
kya kya gile be-lafz-o-bayan chhoD gaya hai
ta-dur jahan ab se sar-e-rah charaghan
wo naqsh-e-qadam apne wahan chhoD gaya hai
uTh kar teri mahfil se gaya hai jo mughanni
naghmat ke parde mein fughan chhoD gaya hai
be-samt sa ek aaj ki mazi hai na farda
ye waqt ka sailab kahan chhoD gaya hai
pahlu mein kahan dil jo sambhaale koi 'naushad'
ek dagh ki surat mein nishan chhoD gaya hai
Ghazal
Sab kuchh sar-e-bazar jahan chhoD gaya hai
Naushad Ali