اردو हिंदी
Sab kuchh sar-e-bazar-e-jahan chhoD gaya hai | Shaahi Shayari
sab kuchh sar-e-bazar-e-jahan chhoD gaya hai

Ghazal

Sab kuchh sar-e-bazar-e-jahan chhoD gaya hai

Naushad Ali

;

sab kuchh sar-e-bazar-e-jahan chhoD gaya hai
ye kaun khuli apni dukan chhoD gaya hai

jate hi kisi ke na wo naghma na ujala
KHamosh charaghon ka dhuan chhoD gaya hai

wahshi to gaya le ke wo zanjir o gireban
ek nauha-kunan KHali makan chhoD gaya hai

sau qafile is rah se aae bhi gae bhi
ab tak main wahin hun wo jahan chhoD gaya hai

bheja hai ye kis ne waraq-e-sada mere nam
kya kya gile be-lafz-o-bayan chhoD gaya hai

ta-dur jahan ab hai sar-e-rah charaghan
wo naqsh-e-qadam apne wahan chhoD gaya hai

uTh kar teri mahfil se gaya hai jo mughanni
naghmat ke parde mein fughan chhoD gaya hai

be-samt sa ek aaj ki mazi hai na farda
ye waqt ka sailab kahan chhoD gaya hai

pahlu mein kahan dil jo sambhaale koi 'naushad'
ek dagh ki surat mein nishan chhoD gaya hai