sab kuchh na kahin sog manane mein chala jae
ji mein hai kisi aur zamane mein chala jae
main jis ke tilismat se bahar nikal aaya
ek roz usi aaina-KHane mein chala jae
jo mere liye aaj sadaqat ki tarah hai
wo KHwab na gum ho ke fasane mein chala jae
sahma hua aansu ki sisakta hai palak par
ab TuT ke daman ke KHazane mein chala jae
ek umr ke baad aaya hai jine ka saliqa
dukh hoga agar jaan bachane mein chala jae
Ghazal
Sab kuchh na kahin sog manane mein chala jae
Saqi Faruqi