اردو हिंदी
Sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun | Shaahi Shayari
sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun

Ghazal

Sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

;

sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun
zindagi kyun na tera husn-e-dil-ara dekhun

dil-e-pur-KHun ko to mil jae faragh-e-ishrat
kab talak dard se us ka main taDapta dekhun

main ki hun kushta-e-naumidi-e-jawed kabhi
apni mauhum ummidon ka bar-ana dekhun

zindagi koi maani koi matlab to ho
ye na ho qafila-e-jaan ka guzarna dekhun

subh se sham talak dhup hi oDhi main ne
koi dam ab to main baadal ka barasna dekhun

yun to tabani-e-duniya pe nazar rukti nahin
ye na ho chehra-e-insan ko main utra dekhun

gharq ho jaunga apne mein wo dariya main hun
kab talak rahi samundar ka ishaara dekhun