sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake
tera daman dur nahin tha hath hamin phaila na sake
tu ai dost kahan le aaya chehra ye KHurshid-misal
sine mein aabaad karenge aankhon mein to sama na sake
na tujh se kuchh hum ko nisbat na tujh ko kuchh hum se kaam
hum ko ye malum tha lekin dil ko ye samjha na sake
ab tujh se kis munh se kah den sat samundar par na ja
bich ki ek diwar bhi hum to phand na pae Dha na sake
man papi ki ujDi kheti sukhi ki sukhi hi rahi
umDe baadal garje baadal bunden do barsa na sake
Ghazal
Sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake
Ibn e Insha