sab ki bigDi ko banane nikle
yar hum tum bhi diwane nikle
dhul hai ret hai sahra hai yahan
hum kahan pyas bujhane nikle
itni raunaq hai ki ji Dubta hai
shahr mein KHak uDane nikle
in andheron mein kiran jab DhunDi
sab ke hansne ke bahane nikle
koi to chiz nai mil jati
dard bhi sadiyon purane nikle
chand ko raat mein maut aai thi
lash hum din ko uThane nikle
umr barbaad yunhi kar di 'hasan'
KHwab bhi kitne suhane nikle
Ghazal
Sab ki bigDi ko banane nikle
Hasan Kamal