sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin
sans sab ki chal rahi hai ji raha koi nahin
main sisakne ki sadaen sun raha hun bar bar
aap kahte hain ki ghar mein dusra koi nahin
zindagani ne liye go imtihan-dar-imtihan
zindagani se mujhe phir bhi gila koi nahin
koi to aaKHir chalata hai nizam-e-do-jahan
kaise mumkin hai KHudai hai KHuda koi nahin
meri sari koshishon ke kawishon ke bawajud
mere sare kaam bigDe hain bana koi nahin

Ghazal
Sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin
Rana Gannauri