اردو हिंदी
Sab ki aaankhon mein jo samaya tha | Shaahi Shayari
sab ki aaankhon mein jo samaya tha

Ghazal

Sab ki aaankhon mein jo samaya tha

Abu Mohammad Sahar

;

sab ki aaankhon mein jo samaya tha
kaun tha wo kahan se aaya tha

kis ne ki aaj pursish-e-ahwal
koi apna tha ya paraya tha

miT gae hum to ye hua malum
bhul kar koi muskuraya tha

ek lazzat thi KHud-farebi mein
warna kis ne fareb khaya tha

aa gain yaad phir wahi baaten
kal ba-mushkil jinhen bhulaya tha

sab the aaseb-e-bazm ke mare
hum pe tanhaiyon ka saya tha

umr guzri 'sahar' mohabbat mein
hum ne dil kuchh ajib paya tha