اردو हिंदी
Sab KHalaon ko KHalaon se bhigo sakta hai | Shaahi Shayari
sab KHalaon ko KHalaon se bhigo sakta hai

Ghazal

Sab KHalaon ko KHalaon se bhigo sakta hai

Riyaz Latif

;

sab KHalaon ko KHalaon se bhigo sakta hai
aadmi ruh ke andar bhi to ro sakta hai

ye siyahi ka sira jaane kahan hath aae
mera saya tera baatin bhi to ho sakta hai

dastaras tere samundar ki hai tujh se bhi pare
tu mujhe aankh se bahar bhi Dubo sakta hai

le to aaya hai mujhe maut ki gardish se alag
tu mujhe sans ke mahwar pe bhi kho sakta hai

apne anfas ki tahrik pe bikhra hai magar
tu mere lams mein yakja bhi to ho sakta hai

teri miTTi ne samoya nahin to kya hai 'riyaz'
tu to is jism ke bahar kahin so sakta hai