اردو हिंदी
Sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho | Shaahi Shayari
sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho

Ghazal

Sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho

Raees Rampuri

;

sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho
un ko to mujh se zid hai ki mera kaha na ho

un ko mera wo bazm mein chhup-chhup ke dekhna
aur ye bhi dekhna ki koi dekhta na ho

har ek se puchhta bhi hun un ka pata magar
dil ye bhi chahta hai kisi ko pata na ho