sab ke aage nahin bikharna hai
ab junun aur tarah karna hai
kya zarurat hai itne KHwabon ki
dasht-e-shab par hi to karna hai
aa gae zindagi ke jhanse mein
Than rakkha tha aaj marna hai
puchhna chahiye tha dariya ko
Dubna hai ki par utarna hai
band-baja hai thoDi der ka bas
raat bhar kis ne raqs karna hai

Ghazal
Sab ke aage nahin bikharna hai
Vikas Sharma Raaz