sab kahin pichhe chhuT-chhaT gae
wo zamane wo ThaT-baT gae
kaun tolega tujh ko phulon mein
wo taraazu gai wo baT gae
hum se achchhe rahe hamare buzurg
zindagi sadgi se kaT gae
ab raha kya hai in kitabon mein
kaam ki baaten log chaT gae
phir kahin bhi ye ji laga hi nahin
hum to jaane ko ghaT ghaT gae
pyas apni bujha ke pagal log
sab kuen raste ke paT gae
jaane kis ke hisab mein 'alam'
raaten bojhal to din sapaT gae
Ghazal
Sab kahin pichhe chhuT-chhaT gae
Seen Sheen Alam