sab iKHtiyar mera tuj hat hai pyara
jis haal sun rakhega hai o KHushi hamara
naina anjhun sun dhoun pag ap palak sun jhaDun
je kui KHabar so liyawe mukh phul ka tumhaara
but-KHane nayan tere hor but nayan kiyan putliyan
muj nayan mein pujari puja adhan hamara
us putliyan ki surat kui KHwab mein jo dekhe
raskh aae muj kare mat koi sajda us dawara
tuj KHayal ki hawas the hai jiu haman so zinda
o KHayal kad na jawe hum sar the Tuk bahaara
Ghazal
Sab iKHtiyar mera tuj hat hai pyara
Quli Qutub Shah

