sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno
kabhi guzro nur-sara se meri kabhi mujh ko mujh se chura ke suno
mera dil bhi koi panghaT hai jahan pariyan pani bharti hain
koi piDa nahin koi shor nahin sab pani mera gahra ke suno
din raat zamin ki gardish par sur-tal biThate rahte ho
kabhi KHud ko bhi hairan karo kabhi dil ki baat suna ke suno
jo gardan mein ek KHam sa hai ye kab se hua malum nahin
ye shan nishan to milta hai jab sine ki pathra ke suno

Ghazal
Sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno
Rauf Raza