sab hasinon mein wo pyara KHub hai
ek chehra jism sara KHub hai
aise mukhDe ki balaen lijiye
bhola bhola pyara pyara KHub hai
meri mahfil mein kabhi aate nahin
ghair ke ghar mein guzara KHub hai
donon aankhen qatil-e-ushshaq hain
lashkar-e-mizhgan saf-ara KHub hai
charKH par tum ko chaDha kar dekhiye
kaun sa taron mein tara KHub hai
tum jo aae jism mein jaan aa gai
jaan mein paira tumhaara KHub hai
pas apne ho agar taswir-e-yar
zindagani ka sahaara KHub hai
kyun milen hum aap se chori-chhupe
baat jo hai aashkara KHub hai
tu kaha main ne to aazurda hue
ghair ki gali gawara KHub hai
chand se baDhti hai aankhon ki ziya
KHub-ruon ka nazara KHub hai
doston se inhiraf achchha nahin
dushmanon se bhi mudara KHub hai
mang baalon mein hi kya hai aab-dar
Dub-marne ko ye dhaara KHub hai
aabru jati rahegi aap ki
'bahr' ab us se kinara KHub hai
Ghazal
Sab hasinon mein wo pyara KHub hai
Imdad Ali Bahr