sab hain masruf kisi ko yahan fursat nahin hai
sab zarurat hai magar kar-e-zarurat nahin hai
tujh se dushnam-taraazon ki himayat ke liye
ab mere pas koi harf-e-suhulat nahin hai
rose ek hashr bapa karte the jis ki KHatir
hum ye sunte hain ki wo fitna-e-qamat nahin hai
aks-e-ram-sazi-e-wahshat se use hai nisbat
ab to aainon ko pahli si wo hairat nahin hai
kis liye tark-e-talluq pe nadamat hai tujhe
ai meri jaan mujhe koi shikayat nahin hai
raqs-e-ashob ajab dekha hai galiyon mein teri
ai mere shahr yahan koi salamat nahin hai
hukm hai KHana-e-wahshat ke makinon se kaho
ab yahan sans bhi lene ki ijazat nahin hai
KHun-baha mangne walon ko nadamat hai bahut
mere qatil ko magar koi nadamat nahin hai
ramz-o-asrar se KHali nahin hote mere sher
ye alag baat ki 'shahid' ko wo shohrat nahin hai
Ghazal
Sab hain masruf kisi ko yahan fursat nahin hai
Shahid Kamal

