sab gham kahen jise ki tamanna kahen jise
wo iztirab-e-shauq hai hum kya kahen jise
hai johd-e-munfarid sabab-e-karobar-e-dahr
ek iztirab-e-qatra hai dariya kahen jise
neamat ka e'tibar hai husn-e-qubul se
ishrat bhi ek gham hai gawara kahen jise
milta nahin hai ahl-e-junun ka koi suragh
bas ek naqsh-e-pa hai ki sahra kahen jise
pahle hayat-e-shauq thi allah-re inqalab
ab e'tibar-e-gham hai tamanna kahen jise
hai mere kaenat-e-tasawwur ka ek fareb
wo jalwa-e-KHayal ki duniya kahen jise
kuchh kam-nigahiyan hain tajalli ki aaD se
aisi bhi ek nigah-e-tamasha kahen jise
tanhai-e-KHayal se 'tabish' ye haal hai
aisa koi nahin ki hum apna kahen jise

Ghazal
Sab gham kahen jise ki tamanna kahen jise
Tabish Dehlvi