sab fana hote hue shahr hain nigrani mein
chand ban kar utar aao meri tughyani mein
aae to honge bahut KHak uDane wale
main izafa hun tere dasht ki virani mein
kya hai aaine se bahar koi aata hi nahin
log sab qaid hue jate hain hairani mein
jis mein ishq aur hawas ka koi jhagDa hi nahin
ek sahra to hai aisa meri sultani mein
sab dil-awez tabassum pe hi mar miTte hain
jhankta kaun hai taswir ki virani mein
Ghazal
Sab fana hote hue shahr hain nigrani mein
Nomaan Shauque

