sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab
phir bhi jaane basti basti maqtal kyun hai shahr-e-gulab
wahshat-e-baam-o-dar kahti hai aur balaen aaengi
ab jo balaen aain to logo ran hoga be-hadd-o-hisab
jab bhi kabhi shab-KHun paDa to ahl-e-chaman KHamosh rahe
mausam-e-gul mein jis ko dekho meri shaKHen mere gulab
hum se koi puchhe to bataen kya kuchh hum par bit gai
kahan kahan gahnae suraj kahan kahan Dube mahtab
aao shamen sab gul kar do kah do jaane wale jaen
ab har din paikar ka din hai ab har din hai roz-e-hisab
pyas ki baaten kahte sunte kitne mausam aae gae
koi sabil-e-koh-kani bhi kab tak zikr-e-qaht-e-ab
hum be-dar be-ghar logon ki ek dua bas ek dua
malik shahr-e-gulab salamat hum par jo bhi aae azab
Ghazal
Sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab
Iftikhar Arif