sab chale jao mujh mein tab nahin
nam ko bhi ab iztirab nahin
KHun kar dun tere shabab ka main
mujh sa qatil tera shabab nahin
ek kitab-e-wajud hai to sahi
shayad is mein dua ka bab nahin
tu jo paDhta hai bu-ali ki kitab
kya ye aalim koi kitab nahin
apni manzil nahin koi fariyaad
raKHsh bhi apna bad-rikab nahin
hum kitabi sada ke hain lekin
hasb-e-mansha koi kitab nahin
bhul jaana nahin gunah use
yaad karna use sawab nahin
paDh liya us ki yaad ka nusKHa
us mein shohrat ka koi bab nahin
Ghazal
Sab chale jao mujh mein tab nahin
Jaun Eliya