saz ke maujon pe naghmon ki sawari main thi
bhairwi ban ke lab-e-subh pe jari main thi
main jo roti thi mera chehra nikhar jata tha
aansuon ke liye phulon ki kiyari main thi
git ban jati kabhi aur kabhi aansu banti
kabhi honTon se kabhi aankhon se jari main thi
jaan dena to baDi chiz hai dil bhi na diya
tu to kahta tha tujhe jaan se pyari main thi
main hari shaKH thi garche kabhi phuli na phali
tum se bhi TuT gai garche tumhaari main thi
tu ne kuchh qadr na ki ye baDa nuqsan hua
tere gulshan ke liye fasl-e-bahaari main thi
mujh se dekha na gaya tera pareshan hona
ishq ki bazi samajh-bujh ke haari main thi
ye jo 'anjum' ki hai barbaadi ka qissa mashhur
hae wo shamat-e-amal ki mari main thi
Ghazal
Saz ke maujon pe naghmon ki sawari main thi
Sufia Anjum Taj