saz-e-hayat qaid-o-salasil kahen kise
jab dil hi bujh gaya ho to phir dil kahen kise
rudad-e-gham tawil to itni nahin magar
koi kahan hai madd-e-muqabil kahen kise
bachte bachate mauj-e-hawadis se aa ke hum
sahil pe Dub jaen to sahil kahen kise
dast-e-dua bhi kaT ke ahbab chal diye
haal-e-dil-e-shikasta mein shamil kahen kise
'anjum' hamara ahd hai bahrupiyon ka ahd
jo hai naqab-posh hai qatil kahen kise
Ghazal
Saz-e-hayat qaid-o-salasil kahen kise
Ghayas Anjum