saz-e-hasti mein kuchh sada hi nahin
ek mahshar hai jo bapa hi nahin
kis qadar hai gadagaron ka hujum
tere kuche mein rasta hi nahin
rahbari ka unhen bhi sauda hai
rah mein jin ka naqsh-e-pa hi nahin
keh raha hun zaban na khulwao
baat ke zaKHm ki dawa hi nahin
jo hansa wo hansa gaya 'wamiq'
ye maqaula ghalat hua hi nahin

Ghazal
Saz-e-hasti mein kuchh sada hi nahin
Wamiq Jaunpuri