اردو हिंदी
Saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai | Shaahi Shayari
saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai

Ghazal

Saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai

Bismil Allahabadi

;

saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai
ek zamana hama-tan-gosh nazar aata hai

hasrat-e-jalwa-e-didar ho puri kyunkar
wo tasawwur mein bhi ru-posh nazar aata hai

dekhte jao zara shahr-e-KHamoshan ka saman
ki zamana yahan KHamosh nazar aata hai

aap ke nashtar-e-mizhgan ko chubho leta hun
KHun-e-dil mein jo kabhi josh nazar aata hai

aap hi sirf jafa-kosh nazar aate hain
sara aalam to wafa-kosh nazar aata hai

mausam-e-gul na raha dil na raha ji na raha
phir bhi wahshat ka wahi josh nazar aata hai

shana-e-yar pe bikhri to nahin zulf-e-daraaz
har koi KHanuman bar-dosh nazar aata hai

jalwa-e-qudrat-e-bari ka muamma na khula
ru-ba-ru rah ke bhi ru-posh nazar aata hai

phir zara KHanjar-e-qatil ko KHabar de koi
KHun-e-'bismil' mein wahi josh nazar aata hai