saz-e-dil saz-e-junun saz-e-wafa kuchh bhi nahin
wo na hon pas to jine ka maza kuchh bhi nahin
jine walon ke liye is ki baDi qimat hai
marne walon ke liye aab-e-baqa kuchh bhi nahin
maslahat kahti hai logon se ki mere ghar mein
is tarah aag lagi hai ki jala kuchh bhi nahin
un ke hathon mein hai taqdir jahan diwane
tere hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin
be-KHata aise bhi dekhe hain jahan mein tum ne
hai KHata jin ka ye kahna ki KHata kuchh bhi nahin
jab se majruh hui lazzat-e-ehsas-e-alam
dard mein gham mein taDapne mein maza kuchh bhi nahin
kya bataen ki gham-e-dil ke alawa 'shahid'
hum ko is shahr-e-nigaran se mila kuchh bhi nahin
Ghazal
Saz-e-dil saz-e-junun saz-e-wafa kuchh bhi nahin
Shahid Bhopali