saz bane un ashkon se jo bahte hain tanhai mein
sadiyon ki mahrumi ro ro gati hai shahnai mein
jitne halke log the wo sab tair gae us par hue
ek hamein the Dub gae jo apni hi gahrai mein
apna badan sota rahta hai bistar par lekin aksar
raat gae Tahla karta hai kaun mari angnai mein
dil hai kis ka jaan hai kisi ki aur kis ki hai ye nazar
kitna bikhra-pan pinhan hai ek mari yakjai mein
zulm ki shiddat KHud apni hi maut ka bais banti hai
jit ki surat dekh rahe hain hum apni paspai mein

Ghazal
Saz bane un ashkon se jo bahte hain tanhai mein
Mushtaq Naqvi