saz aahista zara gardish-e-jam aahista
jaane kya aae nigahon ka payam aahista
chand utra ki utar aae sitare dil mein
KHwab mein honTon pe aaya tera nam aahista
ku-e-jaanan mein qadam paDte hain halke halke
aashiyane ki taraf tair-e-baam aahista
un ke pahlu ke mahakte hue shadan jhonke
yun chale jaise sharabi ka KHiram aahista
aur bhi baiThe hain ai dil zara aahista dhaDak
bazm hai pahlu-ba-pahlu hai kalam aahista
ye tamanna hai ki uDti hui manzil ka ghubar
subh ke parde mein yaad aa gai sham aahista

Ghazal
Saz aahista zara gardish-e-jam aahista
Makhdoom Mohiuddin