اردو हिंदी
Saya agar nasib ho diwar-e-yar ka | Shaahi Shayari
saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

Ghazal

Saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

Yagana Changezi

;

saya agar nasib ho diwar-e-yar ka
kya martaba buland ho apne mazar ka

wo dasht-e-haulnak wo hubb-e-watan ka josh
phir phir ke dekhna wo kisi be-dayar ka

lau de rahi hai sham se aaj aah-e-atishin
shola bhaDak raha hai dil-e-daghdar ka

taswir-e-naza dekhna chaho to dekh lo
rah rah ke jhilmilana charagh-e-mazar ka

par taulne lage phir asiran-e-bad-nasib
shayad qarib aa gaya mausam bahaar ka

mu-e-safed kanpte hath aur jam-e-mai
dikhla rahe hain rang KHizan mein bahaar ka

angDaiyon ke sath kahin dam nikal na jae
aasan nahin hai ranj uThana KHumar ka

saqi gira na dijiyo ye jam-e-aKHiri
dil TuT jaega kisi ummid-war ka

maston ki ruhen bhaTkengi achchha nahin hai ab
ghir-ghir ke aana qabron par abr-e-bahaar ka

dekho to apne wahshiyon ki jama-zebiyan
allah re husn pairahan-e-tar-tar ka

jurm-e-guzishta afw kun o majra mapurs
mara hua hun is dil-e-be-iKHtiyar ka

duniya se 'yas' jaane ko ji chahta nahin
allah re husn gulshan-e-na-paedar ka