satwin manzil se kuda chahiye
KHud-kushi karne ko aur kya chahiye
apne hathon apni aankhen phoD kar
chaar-su apne ko dekha chahiye
aaine mein koi rahta hai zarur
kaun hai chupke se puchha chahiye
nind ke kamre mein dam ghuTne laga
KHwab ki khiDki ko khola chahiye
'faiz'-sahib sher kyun kahte nahin
'faiz'-sahib sher kahna chahiye
tum se biwi ko shikayat ho agar
to 'salim'-ahmad ko paDhna chahiye
aao 'alwi' us ke ghar ki battiyan
bujh gain ab ghar ko chalna chahiye
Ghazal
Satwin manzil se kuda chahiye
Mohammad Alvi