اردو हिंदी
Sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana | Shaahi Shayari
sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana

Ghazal

Sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana

Bekhud Badayuni

;

sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana
allah allah tera bazm se uTh kar jaana

rahbari kar ke meri KHizr bhi chakkar mein paDe
ab unhen jalwa-gah-e-yar mein akasr jaana

dagh-e-kam-hauslagi dil ko gawara na hua
warna kuchh hijr mein dushwar na tha mar jaana

sadgi se ye guman hai ki bas ab rahm kiya
mutmain hun ki mujhe aap ne muztar jaana

nashshe mein bhi tere 'beKHud' ki talli na gai
baada-e-hosh-ruba ko mai-e-kausar jaana