sath mere apne sae ke siwa koi na tha
ajnabi the sab jahan mein aashna koi na tha
sare rishte ret ki diwar the mausam ke phul
baat ka sachcha yahan dil ka khara koi na tha
jin ke dhoke the misali jin ki baaten neshtar
sirf hum mohsin the un ke dusra koi na tha
zindagi ki dauD mein har shaKHs tha be-asra
shor-e-be-hangam mein naghma-sara koi na tha
ek shajar aisa bhi rah-e-zist mein 'sarwat' mila
phul to shaKHon pe the patta hara koi na tha

Ghazal
Sath mere apne sae ke siwa koi na tha
Noor Jahan Sarwat