اردو हिंदी
Sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun | Shaahi Shayari
sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun

Ghazal

Sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun

Hatim Ali Mehr

;

sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun
surat-e-tarkib-e-mauzun misra-e-mohmal mein hun

mujh sa rangin-taba hai tira-darunon mein KHarab
main sharab-e-arghawani hun magar botal mein hun

gand-ha-e-na-tarashida hain hum sohbat meri
in dinon to main bhi KHushbu ki tarah sandal mein hun

aadmi be-his-o-mas main surat-e-mardum giyah
shahr mein hun main ilahi ya kisi jangal mein hun

parda-dar-e-girya-e-be-iKHtiyari faqr hai
barq hai abr-e-siyah mein aur main kammal mein hun

hasil-e-neki hun nekon ko badon ko bad hun 'mehr'
mera hi partaw anat mein hai main hi hanzal mein hun