اردو हिंदी
Sath manzil thi magar KHauf-o-KHatar aisa tha | Shaahi Shayari
sath manzil thi magar KHauf-o-KHatar aisa tha

Ghazal

Sath manzil thi magar KHauf-o-KHatar aisa tha

Rahat Indori

;

sath manzil thi magar KHauf-o-KHatar aisa tha
umr-bhar chalte rahe log safar aisa tha

jab wo aae to main KHush bhi hua sharminda bhi
meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha

hifz thin mujh ko bhi chehron ki kitaben kya kya
dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha

aag oDhe tha magar banT raha tha saya
dhup ke shahr mein ek tanha shajar aisa tha

log KHud apne charaghon ko bujha kar soe
shahr mein tez hawaon ka asar aisa tha