sath le kar apni barbaadi ke afsane gae
aabru-e-anjuman the jo wo diwane gae
ibtida ye thi ki duniya bhar ki nazren hum pe thin
intiha ye hai ki KHud se bhi na pahchane gae
teri fayyazi se kab inkar hai saqi magar
aise mai-kash bhi hain kuchh jin tak na paimane gae
mahfilen mahki hui thin jin se wo gul kya hue
shayad ab wo gosha-e-turbat ko mahkane gae
dusron ke gham mein roti thin jo shamen bujh gain
aag mein ghairon ki jalte the jo parwane gae
tishnagi se zarf ko ai saqi-e-mahfil na tol
uTh gae to umr-bhar ko phir ye diwane gae
mashware to aql bhi deti rahi 'rahi' magar
dil ne jo farmae the wo faisle mane gae
Ghazal
Sath le kar apni barbaadi ke afsane gae
Rahi Shahabi