sath ghurbat mein koi ghair na apna nikla
main faqat dard ke sahra mein akela nikla
main ne mangi thi shab-e-gham ke guzarne ki dua
aur mere ghar se bahut dur ujala nikla
koi chehra na koi aks nazar aata hai
apni taqdir ka aaina bhi andha nikla
zindagi kis se ab ummid-e-mudawa rakkhe
dushman-e-jaan to mera apna masiha nikla
wo tera rang-e-wafa ho ki tera tarz-e-jafa
main har ek rang mein taswir-e-tamanna nikla
kyun na duniya ko mere qatl pe hairat hogi
sath mere mere qatil ka janaza nikla
main bhi to kaun si rakhta hun mohabbat us se
apne dushman ki tarah main bhi to andha nikla
koi tohfa na koi KHat na kisi ki taswir
aur mere ghar se tere gham ke siwa kya nikla
kaT gai umr chhupae hue gham apna 'shakeb'
apne munh se na kabhi harf-e-tamanna nikla
Ghazal
Sath ghurbat mein koi ghair na apna nikla
Shakeb Banarsi