sath ghairon ke hai sada gaT-paT
ek hamin se rakhe hai dil mein kapaT
changul-e-baz hain teri mizhgan
tair-e-dil ko pal mein le hai jhapaT
teri is waz-e-dil-rubai se
ghar ke ghar ho gae hain chuD-chapaT
wo bhi din phir dikhaega allah
raat ko soe tu gale se lipaT
pas jab ghair ko biThata hai
jae hai dil tere milap se haT
dete ho baat baat mein bazi
ek ho apne kaam ke naT-khaT
naz ki tegh ghair par mat khinch
dil hamara kahin na jawe kaT
jis tarah chand par ho abr-e-siyah
zulf yun mukhDe par rahi hai ulaT
id hai aaj aa gale mil len
dushmanon ki to jae chhati phaT
gham mein tere hain ashk yun jari
har ghaDi jis tarah chale hai rahaT
ishq wo ghar hai jis ke shah-o-gada
ba-adab chumte rahe chaukhaT
kulle-shai-in-muhit ki taqrir
khaT se insan ke hue parghaT
dil-e-bechaara ek tan-e-tanha
fauj-e-gham aae hai tamam simaT
dost ki ho madad to yak dam mein
jae ye marka tamam palaT
yan qadam rah par siwae na rakh
ai 'muhib' rah ishq ki hai bikaT

Ghazal
Sath ghairon ke hai sada gaT-paT
Waliullah Muhib