sari ummid rahi jati hai
hae phir subh hui jati hai
nind aati hai na wo aate hain
raat guzri hi chali jati hai
majma-e-hashr mein rudad-e-shabab
wo sune bhi to kahi jati hai
dastan puri na hone pai
zindagi KHatm hui jati hai
wo na aae hain to bechain hai ruh
abhi aati hai abhi jati hai
zindagi aap ke diwane ki
kisi surat se kaTi jati hai
gham mein parwanon ke ek muddat se
shama ghulti hi chali jati hai
aap mahfil se chale jate hain
dastan baqi rahi jati hai
hum to 'bismil' hi rahe KHair hui
ishq mein jaan chali jati hai
Ghazal
Sari ummid rahi jati hai
Bismil Azimabadi