sari ruswai zamane ki gawara kar ke
zindagi jite hain kuchh log KHasara kar ke
apne is kaam pe wo raaton ko rota hoga
bech deta hai jo zarre ko sitara kar ke
gham ke mare hue hum log magar collage mein
dil bahal jata hai pariyon ka nazara kar ke
phir wahi josh wahi jazba ata hota hai
tum ne dekha hi nahin pyar dobara kar ke
apne kirdar se duniya ko hila kar rakh de
warna kya faeda is tarah guzara kar ke
hum se aabaad hai ye sher-o-suKHan ki mahfil
hum to mar jaenge lafzon se kinara kar ke
Ghazal
Sari ruswai zamane ki gawara kar ke
Hashim Raza Jalalpuri