sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge
waise chhup ke hans bhi lenge waise tanha ro lenge
ujDe dil ki basti wale itne ghafil hote hain
kho bhi gae to is mele mein kisi ke sang bhi ho lenge
baadal garje bijli kaDke ya sawan bhadon barsen
hum saDkon pe rahne wale chuppi sadh ke so lenge
yaro tum ye fikr na karna kis ke sar ilzam lage
hum to apne KHun se apne donon hath bhigo lenge
jab bhi dard se dil taDpega TukDe TukDe hogi ruh
kisi andhere kamre mein hum dil mein dard samo lenge
hum ne sari umr akele maut ka rasta dekha hai
jab bhi aai kisi bhi chaukhaT par sar rakh ke so lenge
chupke chupke kafan lapeTe niklenge jab hum ghar se
lakh bulaoge ro ro kar hargiz aankh na kholenge
Ghazal
Sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge
Mushtaq Singh