sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin
aisa lagta hai ab us ke kisa-e-zar mein kuchh bhi nahin
zauq-e-nazar phir aamada hai jalwon ki paimaish par
KHali aankhen ye kahti hain chand-nagar mein kuchh bhi nahin
KHud-dari bhi kachcha shisha fankari bhi kachchi nind
sab kuchh kho kar ye paya hai shahr-e-hunar mein kuchh bhi nahin
chaaron khonT phira hun lekin apne aap ko pa na saka
ghar aa kar ye raaz khula hai samt-o-safar mein kuchh bhi nahin
purkhon se unwan suna hai bhuk aur nind mein rishta hai
aaj ki raat kaThin guzregi aaj to ghar mein kuchh bhi nahin
Ghazal
Sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin
Unwan Chishti