sari duniya ke talluq se jo socha jata
aadmi itne qabilon mein na banTa jata
dil ka ahwal na puchho ki bahut roz hue
is KHarabe ki taraf main nahin aata jata
zindagi tishna-dahani ka safar thi shayad
hum jidhar jate usi rah pe sahra jata
sham hote hi koi shama jala rakhni thi
jab dariche se hawa aati to dekha jata
raushni apne gharondon mein chhupi thi warna
shahr ke shahr pe shab-KHun na mara jata
sare kaghaz pe bichhi thin meri aankhen 'qaisar'
itne aansu the ki ek harf na likkha jata
Ghazal
Sari duniya ke talluq se jo socha jata
Qaisar-ul-Jafri

