اردو हिंदी
Sare to nahin jaan bachane mein lage hain | Shaahi Shayari
sare to nahin jaan bachane mein lage hain

Ghazal

Sare to nahin jaan bachane mein lage hain

Junaid Akhtar

;

sare to nahin jaan bachane mein lage hain
kuchh ghaw hamein zaKHm lagane mein lage hain

hai sab ko KHabar shah ke chehre pe hai kalak
aaine magar sare chhupane mein lage hain

bech aae ise is ke nigahban kabhi ka
hum log magar ghar ko sajaane mein lage hain

baiTha hi nahin jata parindon mein bhi ab to
be-par ki yahan ye bhi uDane mein lage hain

marne pe khuli hai tere darwesh ki qimat
patthar bhi sirhane ke KHazane mein lage hain

sahra mein chala aaya hun kuchh pyas bujha lun
dariyaon pe sab pine pilane mein lage hain

aa jaegi chakkar mein hamare wo kisi din
hum gardish-e-dauran ko ghumane mein lage hain

lagta hi nahin daur-e-mohabbat bhi kabhi tha
ab log yahan sirf kamane mein lage hain

us ne bhi to hai waqt ki gardish ko sanwara
'aKHtar' se kai chand zamane mein lage hain