اردو हिंदी
Sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain | Shaahi Shayari
sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain

Ghazal

Sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain

Dil Ayubi

;

sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain
dair-o-haram ghubar usi karwan ke hain

wadi-e-kohsar-o-bayaban-o-gulistan
ajza-e-rang-rang meri dastan ke hain

har chand ku-e-yar bahut fasle pe hai
badle hue abhi se mizaj aasman ke hain

hamdam hansi uDa na dil-e-dagh-dagh ki
tohfe diye hue ye kisi mehrban ke hain

hon zehn ke dariche agar wa to dekh le
parwarda sab yaqin mere husn-e-guman ke hain

kya dushmanon ki kijiye ai 'dil' shikayaten
mare hue to hum karam-e-dostan ke hain