sare mausam badal gae shayad
aur hum bhi sambhal gae shayad
jhil ko kar ke mahtab supurd
aks pa kar bahal gae shayad
ek Thahrao aa gaya kaisa
zawiye hi badal gae shayad
apni lau mein tapa ke hum KHud ko
mom ban kar pighal gae shayad
kanpti lau qarar pane lagi
jhonke aa kar nikal gae shayad
hum hawa se bacha rahe the jinhen
un charaghon se jal gae shayad
ab ke barsat mein bhi dil KHush hai
hijr ke KHauf Tal gae shayad
saf hone lage sabhi manzar
ashk aankhon se Dhal gae shayad
barish-e-sang jaise barish-e-gul
sare patthar pighal gae shayad
wo 'alina' badal gaya tha bahut
is liye hum sambhal gae shayad
Ghazal
Sare mausam badal gae shayad
Aleena Itrat