اردو हिंदी
Sare manzar fusun tamasha hain | Shaahi Shayari
sare manzar fusun tamasha hain

Ghazal

Sare manzar fusun tamasha hain

Bashar Nawaz

;

sare manzar fusun tamasha hain
kal ghaTaen thin aaj dariya hain

koi yaadon se joD le hum ko
hum bhi ek TuTta sa rishta hain

naw jaise bhanwar mein chakrae
ab bhi aankhon mein KHwab zinda hain

be-tahasha hawaon se puchhen
raste kis safar ka nauha hain

dhund oDhe nigahen kaisi hain
sans lete hue khanDar kya hain