sare manzar ek jaise sari baaten ek si
sare din hain ek se aur sari raaten ek si
be-natija be-samar jang-o-jadal sud o ziyan
sari jiten ek jaisi sari maten ek si
sab mulaqaton ka maqsad karobar-e-zar-gari
sab ki dahshat ek jaisi sab ki ghaten ek si
ab kisi mein agle waqton ki wafa baqi nahin
sab qabile ek hain ab sari zaten ek si
ek hi ruKH ki asiri KHwab hai shahron ka ab
un ke matam ek se un ki baraaten ek si
hon agar zer-e-zamin to faeda hone ka kya
sang o gauhar ek hain phir sari dhaten ek si
ai 'munir' aazad ho is sehr-e-yak-rangi se tu
ho gae sab zahr yaksan sab nabaaten ek si
Ghazal
Sare manzar ek jaise sari baaten ek si
Muneer Niyazi