sara shahr bilakta hai
phir bhi kaisa sakta hai
galiyon mein barud ki bu
ya phir KHun mahakta hai
sab ke bazu yaKH-basta
sab ka jism dahakta hai
ek safar wo hai jis mein
panw nahin dil thakta hai
Ghazal
Sara shahr bilakta hai
Ahmad Faraz

